baitha nahin hun saya-e-diwar dekh kar thahra hua hun waqt ki raftar dekh kar ham-mashrabi ki sharm gawara na ho saki khud chhod di hai shaikh ko mai-khwar dekh kar kya jaane bahr-e-ishq mein kitne hue hain gharq sahil se sath-e-ab ko hamwar dekh kar hain aaj tak nigah mein haalanki aaj tak dekha na phir kabhi unhen ek bar dekh kar 'bismil' tum aaj rote ho anjam-e-ishq ko hum kal samajh gae the kuchh aasar dekh kar