baithe baithe kaisa dil ghabra jata hai jaane walon ka jaana yaad aa jata hai baat-chit mein jis ki rawani masal hui ek nam lete mein kuchh ruk sa jata hai hansti-basti rahon ka khush-bash musafir rozi ki bhatti ka indhan ban jata hai daftar mansab donon zehn ko kha lete hain ghar walon ki qismat mein tan rah jata hai ab is ghar ki aabaadi mehmanon par hai koi aa jae to waqt guzar jata hai