bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka

bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka
main munharif to nahin tha tere usulon ka

izala kaise karega wo apni bhulon ka
ki jis ke khun mein nashsha nahin usulon ka

nafas ka qarz chukana bhi koi khel nahin
wo jaan jaega anjam apni bhulon ka

nai talash ke ye mir-e-karwan honge
banate jao yun hi silsila bagulon ka

ye aadi tirchhi lakiren badal nahin saktin
hazar wasta dete raho usulon ka

tamam falsafa-e-kaenat khul jate
kahan se tut gaya silsila nuzulon ka

inhin se mujh ko mila azm-e-zindagi 'ajmal'
main jaanta hun ki kya hai maqam phulon ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close