ban ban ke bigad jaegi tadbir kahan tak chakkar mein rakhegi mujhe taqdir kahan tak kuchh ghair ki jaanib nigah-e-naz ki had bhi khata rahe mahfil mein koi tir kahan tak jata hun use dhundne mahfil mein adu ki dekhun to bigadti hai ye taqdir kahan tak