bana bana ke aks KHadd-o-Khaal rakh diye gae

bana bana ke aks khadd-o-khal rakh diye gae
ki aaine hata diye khayal rakh diye gae

jo baat qatl ki gai wahi to ek baat thi
sukhan-sara-e-waqt mein malal rakh diye gae

koi na khud ko pa sake ye aur baat hai magar
kami kaji ke rang mein kamal rakh diye gae

kabhi jo ek shahr tha qafas bana diya gaya
jahan bhi rakkhe ja sake the jal rakh diye gae

darakht kat kat kar kushadgi to ki gai
saron pe jalti dhup ke wabaal rakh diye gae

kabhi jo haq diya gaya to is tarah diya gaya
ki faisle ke darmiyan sal rakh diye gae

dilon ko chhu gai thi jo wo tazgi nahin rahi
bhale se ab sukhan mein sau kamal rakh diye gae

mohabbaton mein chahiye thi pukhtagi so is liye
firaq rakh diye gae visal rakh diye gae

wo shahr be-misal tha wo shahr la-zawal tha
phir us ki int int mein zawal rakh diye gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close