bana degi zamin ko aaj shayad aasman barish

bana degi zamin ko aaj shayad aasman barish
ki dhoe ja rahi hain ghar ki sari khidkiyan barish

nae sadmat ka sailab aaya dil ki basti mein
nigal jae na teri yaad ki ye kashtiyan barish

khuli jo aankh to chehre pe jagmag thi phuwaron ki
ki milne aai thi kal raat mujh se na-gahan barish

badan se jab alag karti ho tum bhige hue kapde
chhama-chham nachti hai jangalon ke darmiyan barish

'salim' aankhon se sahraon ka khali-pan tapakta hai
mere andar barasti hai kahin ban kar dhuan barish


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close