bana dengi duniya ko ek din sharabi

bana dengi duniya ko ek din sharabi
ye bad-mast aanhken ye dore gulabi

hain qasr-e-mohabbat ke meamar donon
nigahon ka dhoka dilon ki kharabi

ye kufr-e-mujassam ye zuhd-e-sarapa
ye gunjaan gesu ye ru-e-kitabi

har ek shai mein tum muskuraate ho goya
hazaron hijabon mein ye be-hijabi

abhi tak nigahon pe chhai hui hai
wo masti mein dubi hui nim-khwabi

abas ishq ko intizar-e-asar hai
asar tak kahan aah ki baryabi

ba-juz us ke 'ehsan' ko kya samajhiye
bahaaron mein khoya hua ek sharabi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close