band aankhon se na husn-e-shab ka andaza laga mahmil-e-dil se nikal sar ko hawa taza laga dekh rah jae na tu khwahish ke gumbad mein asir ghar banata hai to sab se pahle darwaza laga han samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch dubne se pahle gahrai ka andaza laga har taraf se aaega teri sadaon ka jawab chup ke changul se nikal aur ek aawaza laga sar utha kar chalne ki ab yaad bhi baqi nahin mere jhukne se meri zillat ka andaza laga lafz mani se gurezan hain to un mein rang bhar chehra hai be-nur to us par koi ghaza laga aaj phir wo aate aate rah gaya aur aaj phir sar-ba-sar bikhra hua hasti ka shiraaza laga rahm kha kar 'arsh' us ne is taraf dekha magar ye bhi dil de baithne ka mujh ko khamyaza laga