band kar le khidkiyan yun raat ko bahar na dekh dubti aankhon se apne shahr ka manzar na dekh kya pata zanjir mein dhal jae bistar ki shikan ye safar ka waqt hai ab jaanib-e-bistar na dekh khak o khun miras teri khak o khun tera nasib is ziyan-khane mein apne panw ka chakkar na dekh tu ne jo parchhaiyan chhodin wo sahra ban gain ai nigar-e-waqt ab pichhe kabhi mud kar na dekh