banda-e-ishq hun juz yar mujhe kaam nahin

banda-e-ishq hun juz yar mujhe kaam nahin
khwahish-e-nang nahin kuchh hawas-e-nam nahin

mazhab-e-ishq ka ye dhang nirala dekha
kuchh wahan tazkira-e-kufr aur islam nahin

ishq ko jaanta hun din-o-iman apna
ghair mashuq parasti mujhe kuchh kaam nahin

kaba-e-jaan hai mera kucha-e-jaanan yaro
sajda-e-dair-o-haram se mujhe kuchh kaam nahin

said-e-murgh-e-dil-e-ashiq liye ai dilbar
khal hai dana aur ye zulf kam az dam nahin

dard-e-dil ne hamein kya kya hai chakhai lazzat
is liye dil ko mere khwahish-e-aram nahin

mazhab-e-ishq mein aa kar ke hamin ai 'asim'
shah khadim ke siwa aur se kuchh kaam nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close