bane jo shams-o-qamar nang-e-asman nikle jinhen charagh samajhte rahe dhuan nikle zara si der mein ek rind ho gaya momin yaqin use bhi na tha hum bhi khush-guman nikle na hum mein jauhar-e-'ghaalib' na un mein shan-e-'zafar' to kis qusur mein koi qasida-khwan nikle kisi ki chah mein jab jaan bhi hum ganwa aae to lutf-e-yar ke qisse kahan kahan nikle main sochta hun ki tarikh kya kahegi hamein sahar ba-dosh chale shab ke pasban nikle hadaf hamin ko banana ki mo'atabar thahro is anjuman mein agar zikr-e-dostan nikle jo sang-e-mil the be-abru hue 'khalid' jo gard-e-pa bhi na the mir-e-karwan nikle