baqi hai wahi shokhi-e-guftar abhi tak diwane pahunchte hain sar-e-dar abhi tak sar par hai bahaaron ke mere khun ka sahra aaluda lahu se hain gul o khar abhi tak aazadi-e-kaamil ke tasawwur mein hai insan apne hi khayalon mein giraftar abhi tak gate hain ukhuwwat ke tarane to shab o roz barbaadi-e-alam ko hain tayyar abhi tak begana bane lakh mohabbat se zamana hai jins-e-garan-maya tera pyar abhi tak hoti hai khayalon hi mein tanzim chaman ki kirdar hi badle hain na guftar abhi tak masum hai masum bahut amn ki dewi qabze mein liye khanjar-e-khun-khar abhi tak 'arif' ye zamana to badalna hi padega uttho bhi hai is ki wahi raftar abhi tak