barhaman mujh ko banana na musalman karna mere saqi mujhe mast-e-mai-e-irfan karna dagh-e-dil sine mein aahon se numayan karna hum se sikhe shab-e-gham koi charaghan karna haram o dair mein ja ja ke charaghan karna justuju teri hamein ta-had-e-imkan karna dil ke bahlane ka wahshat mein ye saman karna chashm-e-khun-bar se daman ko gulistan karna hawas-e-sair-e-gulistan ne qafas dikhlaya ab asiro na kabhi qasd-e-gulistan karna ahl-e-be-dad ke jab nam pukare jaen tum na ghabra ke sar-e-hashr kahin han karna na kabhi main ne kaha tha ki mujhe dard mile na kahunga ki mere dard ka darman karna un ke diwanon ko sar phod ke diwaron se aaj manzur hai aaraish-e-zindan karna shaikh ko kaba mubarak ho barahman ko kunisht hum ko sajda taraf-e-kucha-e-jaanan karna ai saba tujh ko usi zulf-e-pareshan ki qasam mera shiraaza-e-hasti bhi pareshan karna un ke diwanon ki eajaz-nigahi dekho aankh uthana ki gulistan ko bayaban karna dagh-e-dil parde mein rah jae na ai dast-e-junun chaak kuchh aur abhi mera gareban karna la ke phir misr mein ai ishq kisi yusuf ko phir nae rang se aaraish-e-zindan karna dasht-e-ghurbat mein tere khak-nashin achchhe hain chahiye aur inhen be-sar-o-saman karna zauq-e-sajda tujhe sang-e-dar-e-jaanan ki qasam hosh ka mujh ko na sharminda-e-ehsan karna uth rahe hain mere nazron se dui ke parde kuchh madad aur khayal-e-rukh-e-jaanan karna ban gae hairat-e-nazzara ki surat 'bedam' ras aaya na hamein did ka arman karna
This is a great eid mubarak shayari in urdu. Please share if you liked this!!!