barsat ka udhar hai dimagh aasman par chhappar idhar nahin hai hamare makan par masjid mein us ko dekh ke hairan rah gaya tanqid kar raha tha jo kal tak azan par kaghaz ke baal-o-par pe bharosa na kijiye jaana agar hai aap ko unchi udan par ab tak ramaq hayat ki paida na ho saki kya main lahu chhidakta raha hun chatan par do chaar hath ud ke zamin par jo aa gae tanqid kar rahe hain hamari udan par jehl-e-khirad ne tod din sab bandishen 'shahud' 'nasikh' ka ab ijara nahin hai zaban par