barson ke jaise lamhon mein ye raat guzarti jaegi

barson ke jaise lamhon mein ye raat guzarti jaegi
tum samne aae gar dil ki dhadkan bhi thahar hi jaegi

parde mein rahun aankhen meri betab to hain par tab nahin
be-tabi-e-dil lamhati hai haalat ye sambhaali jaegi

aaina-e-dil shaffaf to ho hum ko bhi sanwarna lazim hai
hum ko bhi pata hai milne par chehre ki bahaali jaegi

kuchh khud mein kashish paida kar lo ki mahfil tum se aankh bhare
ye chaal bade ayyar ki hai ye chaal na khali jaegi

ai kashif-e-soz-e-hasti sun hai tujh mein nihan asrar ki bu
gar tera guzar gulshan se hua har baat nikali jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close