bas ek hi kaifiyyat-e-dil subh-o-masa hai har lamha meri umr ka zanjir-ba-pa hai main shahr ko kahta hon bayaban ki yahan bhi saya teri diwar ka kab sar pe pada hai hai waqt ki kahta hai rukunga na main ek pal tu hai ki abhi baat meri tol raha hai main bazm se khakistar-e-dil le ke chala hun aur samne tanhai ke sahra ki hawa hai aawaz ka tesha hai na khamosh takallum tala jo zaban par tha wo ab dil pe pada hai main sath liye phirta hun saman-e-halakat rag rag mein meri zahr-e-wafa daud raha hai kya kya hain tamannaen dil-e-khak-basar mein ye qafila virane mein kyun thahra hua hai