bas ek waqt ka khanjar meri talash mein hai jo roz bhes badal kar meri talash mein hai adhure khwabon se ukta ke jis ko chhod diya shikan-nasib wo bistar meri talash mein hai aziz hun main tujhe kis qadar ki har ek gham teri nigah bacha kar meri talash mein hai main ek qatra hun mera alag wajud to hai hua kare jo samundar meri talash mein hai wo ek saya hai apna ho ya paraya ho janam janam se barabar meri talash mein hai main jis ke hath mein ek phul de ke aaya tha usi ke hath ka patthar meri talash mein hai wo jis khulus ki shiddat ne mar dala 'nur' wahi khulus mukarrar meri talash mein hai