bas farq is qadar hai gunah o sawab mein

bas farq is qadar hai gunah o sawab mein
piri mein wo rawa hai ye jaez shabab mein
tasir-e-jazb-e-shauq ka ye sehr dekhiye
khud aa gae hain wo mere khat ke jawab mein
aakhir tadap tadap ke ye khamosh ho gaya
dil ko sukun mil hi gaya iztirab mein
aanhken mila ke ya to inayat ho ek jam
ya zahr hi mila do hamari sharab mein
rukh aaftab hont kanwal chaal hashr-khez
kis shai ki ab kami hai tumhaare shabab mein
duniya mein dhundhte rahe hum rahaten abas
duniya ki rahaten to hain tere itab mein
'sahir' ajib shai hai mohabbat ka dard bhi
dil mubtala hai ek musalsal azab mein
This is a great yaad tadap shayari. True lovers of sahir ludhianvi shayari taj mahal will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this mohabbat ki kitab shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close