bas-ki didar tera jalwa-e-quddusi hai daman-e-wasl bhi aaluda-e-mayusi hai hai kahan bu-e-wafa us dahan-e-shirin mein ghuncha-lab teri zaban hum ne bahut chusi hai yar go khun mera misl-e-hina ho pamal lekin apne tain manzur qadam-bosi hai dil mera khak shagufta ho chaman mein ja kar gul mein ye rang kahan ek teri bu si hai ek din zulf ke munh par na chadhi ye kafir yaad-e-kakul ko faqat shewa-e-jasusi hai wo saji tegh ki dam mein kare lakhon ko qatl kaun kahta hai miyan teri kamar mu si hai shaikh rota hai ise sun ke barhaman yaksu pur-asar bas ki mera nala-e-naqusi hai chashm-e-namnak ne az bas-ki bujhaya us ko aatish-e-ishq kahan dil mein magar lu si hai ai 'fughan' ishq kahan dil mein ba-qaul-e-'minnat' han ye sach milne ki khuban se to ek khu si hai