basaraton pe bhanwar inkishaf karta hai ki bulbule ka samundar tawaf karta hai ajib bhul-bhulayyan hai justuju khud ki har ek naqsh-e-qadam inhiraf karta hai maza to jab hai ki hum us ko na khuda kar len hawa ka rukh jo hamare khilaf karta hai jise gunah ki taufiq hi na ho ta-umr use khuda na zamana muaf karta hai lahu ki mar se bachiye ki josh mein aae to qatra qatra badan mein shigaf karta hai bala se rang-e-taghazzul meri ghazal mein nahin nukila lahja ghutan ko to saf karta hai