basiraton ka nazar ehtiram karti hai

basiraton ka nazar ehtiram karti hai
samaaton se khamoshi kalam karti hai

khizan ka raaz jo aankhon pe munkashif ho jae
to zard rut bhi bahaaron ka kaam karti hai

kahan ka zarf kahan ka waqar ye duniya
nigah jeb pe rakh kar salam karti hai

zaruraten dar-e-shahi pe le ke jati hain
meri ana mujhe apna ghulam karti hai

hisar-e-sud-o-ziyan se nikal de ya-rab
ye zindagi mera jina haram karti hai

buland-o-past se parwaz mawara hai meri
ye kaenat mujhe zer-e-dam karti hai

khuda ka shukr ki main khud se aashna hun 'nadim'
meri nigah mera ehtiram karti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close