bastiyan luTti hain KHwabon ke nagar jalte hain

bastiyan lutti hain khwabon ke nagar jalte hain
hum wahan hain ki jahan sham-o-sahar jalte hain

dil ke aiwan mein afsurda charaghon ka dhuan
dur kuchh dur wo yaadon ke khandar jalte hain

phir kisi manzil-e-jaan-soz ki jaanib hain rawan
chob-e-sahra ki tarah ahl-e-safar jalte hain

yun to pur-amn hai ab shahr-e-sitamgar lekin
kuchh makan khud hi sar-e-rahguzar jalte hain

hai ba-zahir koi shoala na chamak aur sharar
hum kisi gham mein ba-andaz-e-digar jalte hain

aatish-e-talkhi-e-haalat mein kya kuchh na jala
ab gila kya hai jo ehsas ke par jalte hain

go ho barfab bhi taskin hai dushwar 'sahar'
apni hi aag mein arbab-e-hunar jalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close