batao maut kya hai zindagi kya kisi ne bhed ye khola kabhi kya ye aankhen surkh si kyun ho rahi hain kisi ki yaad ki barish hui kya bujhe hain kyun charagh-e-dil sabhi ke hawa ne ki hai koi dil-lagi kya hanse kyun phul sare khilkhila kar kisi ne ki hai in ko gudgudi kya mohabbat to mohabbat hi hai sahab kahun us ko buri kya aur bhali kya khizan mein dhundte ho khushbuen tum kabhi khilti hai shab mein bhi kali kya nami hai aaj phir aankhon mein 'sima' bahi hai aaj phir sukhi nadi kya
Please share if you liked this!!!