bataun kya kisi ko main ki tum kya chiz ho kya ho meri hasrat mere arman ho meri tamanna ho mohabbat mein qalaq ho ranj ho sadma ho iza ho ye sab kuchh ho koi parda-nashin lekin na ruswa ho tum apne husn ki kya bul-hawas se dad paoge use puchho mere dil se ki tum kya chiz ho kya ho mere dil ko na mal talwon se apne mein ye darta hun kahin aisa na ho us mein koi khar-e-tamanna ho na dekhun kis tarah husn-e-khuda-dad un hasinon ka bhala un zahidon ki tarah kaun aankhon ka andha ho teri taswir bhi hai bais-e-dil-bastagi lekin use taskin kya ho jo teri baaton pe marta ho 'hafiz' aana hua hai phir azimabaad mein apna phir agle walwale paida hue ab dekhiye kya ho