bazm-e-dushman mein ja ke dekh liya le tujhe aazma ke dekh liya tum ne mujh ko sata ke dekh liya har tarah aazma ke dekh liya un ke dil ki kuduraten na mitin apni hasti mita ke dekh liya kuchh nahin kuchh nahin mohabbat mein khub ji ko jala ke dekh liya kuchh nahin juz ghubar-e-kin-o-inad hum ne dil mein sama ke dekh liya na mile wo kisi tarah na mile ghair ko bhi mila ke dekh liya kya mila nala o fughan se 'zahir' hashr sar par utha ke dekh liya