be-hijab aap ke aane ki zarurat kya thi yun mere hosh udane ki zarurat kya thi hum se kahna tha dubo dete safina apna itne tufan uthane ki zarurat kya thi jab se aaya hun yahan mohr-ba-lab baitha hun mujh ko mahfil mein bulane ki zarurat kya thi apne kirdar-o-amal par jo bharosa hota aap ke naz uthane ki zarurat kya thi yun bhi ho sakte the aabaad tere virane hum ko diwana banane ki zarurat kya thi ashk-e-khun baad mein 'sarshaar' bahane the agar khun-e-ushshaq bahane ki zarurat kya thi