be-jurm-o-be-gunah gharib-ul-watan kiya

be-jurm-o-be-gunah gharib-ul-watan kiya
hum ko watan se shah gharib-ul-watan kiya

ghurbat ki sham ulfat-e-gesu mein dekhiye
us dil ne hum ko aah gharib-ul-watan kya

us par na padti aankh na chhutta kabhi watan
bas tu ne ai nigah gharib-ul-watan kiya

dushman na yun ho dost ne jis tarah se hamein
ba-haalat-e-tabah gharib-ul-watan kiya

ai 'mehr' hum ko charkh ne gardish se roz-o-shab
manind-e-mehr-o-mah gharib-ul-watan kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close