be-laus mohabbat ka sila dhundh raha hun nadan hun ye is shahr mein kya dhundh raha hun ek mod pe tute hue khandar se makan mein guzre hue lamhon ka pata dhundh raha hun muddat se ye khanjar mere sine mein hai aur main riste hue zakhmon ki dawa dhundh raha hun diwana jise sang-tarashi ka junun hai kahta hai ki patthar mein khuda dhundh raha hun munsif tere insaf se waqif hun tabhi to na-karda gunahon ki saza dhundh raha hun ye sham aur us par teri yaadon ki halawat ek jam mein do shai ka nasha dhundh raha hun