be-rang baDe shahr ki hasti bhi wahin thi

be-rang bade shahr ki hasti bhi wahin thi
ek rang udati hui titli bhi wahin thi

bazar ke jadu ki na thi kat mere pas
jo chiz buri thi wahi achchhi bhi wahin thi

bas ek tera chehra hi na tha mahfil-e-gul mein
bela bhi tha champa bhi chameli bhi wahin thi

is badh mein karta tha jahan bhi main kinara
andar se ubalti meri naddi bhi wahin thi

sailab-e-badan us ka jo aaya to gaya main
har chand mere jism ki kashti bhi wahin thi

ai ishq jahan tu ne mujhe jama kiya tha
mitti meri aakhir ko bikharni bhi wahin thi

afsos gai qabr bhi 'ehsas'-miyan ki
ye qabr jahan thi meri mitti bhi wahin thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close