be-rang the aarzu ke khake wo dekh rahe hain muskura ke ye kya hai ki ek tir-andaz jab take hamare dil ko take ab soch rahe hain kis ka dar tha hum sambhle hi kyun the dagmaga ke ek ye bhi ada-e-dilbari hai har baat zara ghuma phira ke dil hi ko mitaen ab ki dil mein pachhtae hain bastiyan basa ke hum wo ki sada fareb khae khush hote rahe fareb kha ke chhu aai hai un ki zulf 'mahshar' andaz to dekhiye saba ke