be-ruKHi ne uski kaisa ye ishaara kar diya

be-rukhi ne us ki kaisa ye ishaara kar diya
waqt se pahle qayamat ka nazara kar diya

lakh kahne par bhi us ne rukh pe rakkha tha naqab
ek jhalak ki aarzu ko nagawara kar diya

chal pade daman jhatak kar hum ko pichhe chhod kar
tanha aaghaz-e-safar par kyun dobara kar diya

khud hi lau ummid ki us ne jagai aur phir
tod kar ummid khud hi be-kinara kar diya

kaisi bedardi se toda us ne nata pyar ka
kyun jahan mein phir 'saba' ko be-sahaara kar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close