be-sar-o-saman kuchh apni taba se hain ghar mein hum

be-sar-o-saman kuchh apni taba se hain ghar mein hum
shahr kahte hain jise hain us ke pas-manzar mein hum

sham dubi pad rahe suraj ke dar par shab ki shab
subh bikhri chal pade khud ko liye thokar mein hum

aagahi tu ne hamein kin wusaton mein gum kiya
be-nishan har mulk mein be-asra har ghar mein hum

apne hi sahra mein kho jaenge andaza na tha
bazgasht apni liye phirte hain apne sar mein hum

satwen dar tak pukar aai khudi ko be-khudi
aur har dar se jawab aaya nahin hain ghar mein hum

teri dastak thi ki sannata wahi har sham ka
rahraw-e-koh-e-nida hain ghar ke baam-o-dar mein hum

chaar-su sahra mein hai dard-e-anassahra ki gunj
kat kar apni zaban rakh aae the patthar mein hum

chhan ye sahra ghuti hain is ki chauhad mein sadaen
kat ye parbat dabe hain is ki khakistar mein hum

ab hamein bhata nahin paiham sadaon ka nuzul
ab to khud gunje hue hain gumbad-e-be-dar mein hum

kiyan makan taka hai dil ne raat aur din se pare
be-zaban hote chale hain qaid-e-baam-o-dar mein hum

jaane is rah-raw ki nazren kaun si manzil pe hon
ek kanta sa khatakte hain dil-e-rahbar mein hum

zahr ka pyala ho pina ya uthani ho salib
sadiyon baad aaen magar hote hain is manzar mein hum

dasht-dar-dasht aasman-bar-dosh chalte hain 'shahab'
hum se banjare janm apna liye thokar mein hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close