be-tabi-e-dil ne zar-pa kar

be-tabi-e-dil ne zar-pa kar
de de patka utha utha kar

ghar mein dawa na husn ka kar
yusuf se nikal ke samna kar

zulfon ko na chhod tu badha kar
nazuk hai girega jhonk kha kar

baithe jo wo shab naqab utha kar
bujhne lagi shama jhilmila kar

barbaad na kar tu aabru ko
manind-e-habab sar utha kar

us gul ki mizha ne mar dala
kante ki tarah sukha sukha kar

be-tabi-e-dil agar dikhaun
bijli rah jae tilmila kar

saffak ne band band kata
choten marin jhuka jhuka kar

allah re sozish-e-dil ai yar
mara kis aag mein jala kar

paire koi khak bahr-e-gham mein
aakhir duba main dhab-dhaba kar

phabti kahti hain abr-e-tar ke
achchhi sujhi mujhe rula kar

wo mast hain arsh par tike hath
nashe mein gire jo ladkhada kar

gard-e-gham ne zamin jhakai
chhoda mujhe khak mein mila kar

bose ke sawal par wo bigde
munh ki khai zaban hila kar

nala koi ban pada jo hum se
aflak ko rakh diya mita kar

khauf-e-dozakh se kanpta hun
saqi mujhe jam de tapa kar

wo naza mein haal sun ke roe
kaam aai zaban ladkhada kar

qissa dil se utha dui ka
parchha ho jae faisla kar

jab kuch kiya 'saba' adam ko
rah jaenge yar khak uda kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close