be-talluq ruh ka jab jism se rishta hua ghar mein la-waris pas-e-manzar ka sannata hua dhup lahje mein nokilapan kahan se laegi hum ne dekha hai shafaq-suraj abhi bujhta hua chahta hai dil kisi se raaz ki baaten kare phul aadhi raat ka aangan mein hai mahka hua surkh mausam ki kahani to purani ho gai khul gaya mausam to sare shahr mein charcha hua aasman zahrab-manzar gum-shuda bezariyan lams tanhai ka lagta hai mujhe dasta hua har taraf roti hui khamoshiyon ka shor hai dekhna ye meri basti mein achanak kya hua jism mera jagta hai donon aankhen band hain aur sannata hai meri ruh tak utra hua aafiyat gar chahte ho 'rind' wapas ghar chalo ab tamasha-gah ka manzar hai kuchh bigda hua