beja hai rah-e-ishq mein ai dil gila-e-pa

beja hai rah-e-ishq mein ai dil gila-e-pa
ye aur hi manzil hai nahin marhala-e-pa

hangam-e-khiram us ke hujum-e-dil-e-ushshaq
ghash-karda hain thokar ke bahar-fasla-e-pa

kal bosa-e-pa hum ne liya tha so na aaya
shayad ki wo bosa hi hua aabla-e-pa

us pa ki rah-e-rashk mein nazuk qadmon ke
phirte hain bhatakte hue sau qafila-e-pa

sau naz se thokar ba-sar-e-arsh lagana
us gul ke siwa kis ka hai ye hausla-e-pa

gul-barg pe rakhte hi qadam hans ke jo khincha
shayad hui sakhti se rag-e-gul khila-e-pa

dil se rah-e-dil-bastagi kab tai ho 'nazir' aah
wo zulf-e-musalsal jo na ho silsila-e-pa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close