bekal hai mukh nigah mein boson ki pyas hai kuchh to bata tu kis se bichhad kar udas hai taswir mein jhuka hai nadi par kadam ka ped pani mein pairta hua but be-libas hai teri qasam ki tujh ko bana kar mata-e-zist ab koi aarzu hai na ab koi aas hai khulti hai roz sham ko ek champai dhanak ganw ke us makan pe jo dariya ke pas hai kamre ki shelf par hai saji budh ki murti gul-dan mein chuni hui jangal ki ghas hai dekhun tujhe to ruh ka sahra sulag uthe chahun tujhe to teri lagan mein mithas hai jude ki qaus mein gundhe kuchh malti ke phul sadi ki silwaton mein lawandar ki bas hai