bewafai us ne ki meri wafa apni jagah khun-e-dil apni jagah rang-e-hina apni jagah kitne chehre aae apna nur kho kar chal diye hai magar raushan abhi tak aaina apni jagah zindagi ne us ko sahil se sadaen din bahut waqt ka dariya magar bahta raha apni jagah us ki mahfil se mujhe ab koi nisbat hi nahin hai meri tanhaiyon ka silsila apni jagah hum charaghon se karenge dosti ki baat ab ye andheron ne kiya hai faisla apni jagah to samundar aur meri zat ek qatra sahi teri rahmat har taraf meri dua apni jagah ab to mujh ko bhi sada dete hain 'dana' kah ke log zindagi rahne de apna mashwara apni jagah