bhar nazar dekhenge hum us ko mila jaanan agar dewenge rone se fursat dida-e-giryan agar hashr mein insaf to hoga wa-lekin us ko dekh haal apna kah sakega aashiq-e-hairan agar ai muslimanan karenge hum salam us dam tumhein aa gaya idhar ko wo ghaarat-gar-e-iman agar dil ko karte ho tawaqqo jab ke is gham se hae ishq ke aaghaz ka hota kahin payan agar ai 'raza' wadon se us ke aaj kyun hota kharab kal hi kar leta wafa ka us ki tu paiman agar