bhare moti hain goya tujh dahan mein

bhare moti hain goya tujh dahan mein
ki dur-rezi tu karta hai sukhan mein

bahaar-ara wahi hai har chaman mein
usi ki bu hai nasrin-o-saman mein

na phir idhar udhar nahaq bhatakta
ki hai wo jalwa-gar tere hi man mein

jahan wo hai nahin wan kufr o islam
abas jhagda hai shaikh o barhaman mein

hui jati hai pani sharm se shama
magar wo mah aaya anjuman mein

chhudaya tha nipat mushkil se phir aah
dil atka us ki zulf-e-pur-shikan mein

junun ne dast-kari aisi bhi ki
na tha goya gareban pairahan mein

mara jata hai jis ghairat mein dariya
gira kis ka hai dil chah-e-zaqan mein

magar parwana jal kar ho gaya khak
ki ro-ro shama jalti hai lagan mein

jo sunte the dam-e-isa ka eajaz
so dekha hum ne wo tere sukhan mein

na dekha us pari-jalwa ko 'bedar'
raha mashghul tu yan ma-o-man mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close