bhaTak jaega dil ayyari-e-idrak se niklen

bhatak jaega dil ayyari-e-idrak se niklen
ye zanjir-e-giran toden hum is pechaak se niklen

na maut aae jise aisa koi kirdar ho apna
kahani ban ke aisi dida-e-namnak se niklen

yahi parcham nishan-e-lashkar-e-baatil na ban jae
hum ek khanjar sahi lekin kaf-e-saffak se niklen

saba ban kar abhi karne hain tai kitne safar hum ko
hum is mitti ki khushbu hain tilism-e-chaak se niklen

hamari ham-rahi tak hain sitare hon ki gul-bute
zamin par ye ugen ya parda-e-aflak se niklen

sar-e-sahra abhi raqs-e-ghubar-e-qais baqi hai
abhi kuchh aur lailaen harim-e-khak se niklen

janab-e-'ramz' be-masraf rifaqat ka junun kab tak
sawad-e-gul mein aap aaen khas-o-khashak se niklen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close