bhaTak raha hun ki gir kar sambhal raha hun main

bhatak raha hun ki gir kar sambhal raha hun main
kisi tarah se to raste pe chal raha hun main

nawazishat ki had se nikal raha hun main
hata le hath ki karwat badal raha hun main

junun mein aql ki saudagari bhi ki main ne
nigah-e-naz se duniya badal raha hun main

hawa-e-gham se ghira hai charagh hasti ka
sambhaalna ki tere pas jal raha hun main

kisi bhi sanche mein qismat na dhal saki ab tak
hazar soz-e-tapish se pighal raha hun main

wo aa chale wo abhi aae dekh lo 'raazi'
zara si der hai ruk jao chal raha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close