bhaTak rahi hai ruh ke andar lazzat sukhi gili si

bhatak rahi hai ruh ke andar lazzat sukhi gili si
jaise rasta bhul gai ho ek nadi pathrili si

mere us ke bich ka rishta ek majbur zarurat hai
main sukhe jazbon ka indhan wo machis ki tili si

dekhun kaisi fasl ugata hai mausam tanhai ka
dard ke bij ki nasl hai unchi dil ki mitti gili si

darwaze par munh latkae qillat rang-o-roghan ki
aangan aangan jashn manae khwahish nili pili si

mujh ko bant ke rakh deti hai dhup chhanw ke khemon mein
kuchh be-ghairat si masrufi kuchh fursat sharmili si

din bhar ki jaan-soz thakan ka ajr chukane ko 'khurshid'
sham ke parbat par baithi hai ek saat nokili si


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close