bhuk kam kam hai pyas kam kam hai ab to jine ki aas kam kam hai sans lete the hijr mausam mein ab ye mausam bhi ras kam kam hai titliyan ud gain ye gham le kar ab ke phulon mein bas kam kam hai dil jo milne ki zid nahin karta ab ye rahta udas kam kam hai apni haalat use bata na sakun wo jo chehra-shanas kam kam hai