bhul jaana tha to phir apna banaya kyun tha tum ne ulfat ka yaqin mujh ko dilaya kyun tha ek bhatke hue rahi ko sahaara de kar jhuti manzil ka nishan tum ne dikhaya kyun tha khud hi tufan uthana tha mohabbat mein agar dubne se meri kashti ko bachaya kyun tha jis ki tabir ab ashkon ke siwa kuchh bhi nahin khwab aisa meri aankhon ko dikhaya kyun tha apne anjam pe ab kyun ho pasheman 'saba' ek bedard se dil tum ne lagaya kyun tha