bhuli-bisri khwahishon ka bojh aankhon par na rakh khub-surat aainon mein gham ka pas-manzar na rakh dekh badh kar shokhiyan maujon ki aur qismat ka khel kashtiyan dariya ke sanjida kinaron par na rakh ya to ud ja sath le kar qaid ki majburiyan warna apni juraton ka nam baal-o-par na rakh hum to sar rakhte hain sajdon ke liye majbur hain tu agar sajdon ka qatil hai to sang-e-dar na rakh dene wale sar diya hai to koi sauda abhi de warna in kandhon pe ye bekar bar-e-sar na rakh bewafai ki alamat ban chuke asnam sab dil ke but-khane mein 'raunaq' ab koi patthar na rakh