bikhar rahe the har ek samt kaenat ke rang

bikhar rahe the har ek samt kaenat ke rang
magar ye aankh ki jo dhundti thi zat ke rang

hamare shahr mein kuchh log aise rahte hain
safar ki samt batate hain jin ko raat ke rang

ulajh ke rah gae chehre meri nigahon mein
kuchh itni tezi se badle the un ki baat ke rang

bas ek bar unhen khelne ka mauqa do
khud in ki chaal bata degi sare mat ke rang

hawa chalegi to khushbu meri bhi phailegi
main chhod aai hun pedon pe apni baat ke rang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close