bikhra ke hum ghubar sa wahm-o-KHayal par

bikhra ke hum ghubar sa wahm-o-khayal par
patton ki tarah dolte phirte hain mal par

apne hi panw bas mein nahin aur yar log
tanqid kar rahe hain sitaron ki chaal par

ye mal aanchalon ka subuksar aabshaar
sad-mauj-e-rang-o-nur hai lamhon ki fal par

bahte hujum sham ke lamhon ka sail hum
raqsan hain zehan jhumte qadmon ke tal par

uljhe hue hain bahs mein waraftagan-e-sham
hai guftugu adab ke uruj-o-zawal par

tai rah-guzar-e-pa hai na mauzu-e-guftugu
whiskey ke dhundalke hain jawab-o-sawal par

'ghaalib' ka zikr tha abhi 'shelley' par aa gae
pahunche 'mallarme' se jalal-o-jamal par

jhonkon ke sath sath koi taer-e-khayal
aa baithta hai zehan ki shadab dal par

gard-e-safar se pyar hai manzil ka gham nahin
yun chal rahe hain rahguzar-e-mah-o-sal par

chhae hue hain soch ke sae kahin kahin
chhitki hui hai chandni baam-e-khayal par

har saya apni apni gupha mein ludhak gaya
hum log ghumte rahe sunsan mal par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close