boiye mazra-e-dil mein jo inayat ke bij

boiye mazra-e-dil mein jo inayat ke bij
to na hon sabz kabhi apni shikayat ke bij

hum ne is mazra-e-hasti mein kiye hain jo amal
ek din khinchenge sar un ki mukafat ke bij

aah dahqan-e-falak ki kahun kya bad-tukhmi
khak-e-adam mein ye nit bowe hai aafat ke bij

baghban jab tain hath aawe tere bazr-ul-banj
meri turbat pe na bo aur nabaatat ke bij

walad-ul-qahba se puchho na, teri zat hai kya
bij mein us ke hain makhlut kai zat ke bij

dagh sine ke mere turfa dikhate hain bahaar
hain ye boe hue kis nakhl-e-tilismat ke bij

bistar-e-shaikh pe jo konch ki phalliyan niklin
the chhupae hue shayad usi bad-zat ke bij

un ko kya howe hai juz rizq-e-pareshan hasil
ja-ba-ja bote phiren hain jo mulaqat ke bij

'mushafi' is se bhi behtar ghazal ek aur suna
wadi-e-fikr mein bo kar tu khayalat ke bij


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close