bujh kar bhi shoala dam-e-hawa mein asir hai qaem abhi faza mein dhuen ki lakir hai guzra hun us ke dar se to kuchh mang lun magar kashkol be-talab hai sada be-faqir hai jo chahe achchhe damon mein us ko kharid le wo aadmi bura nahin par be-zamir hai dil par lagi hai sab ke wahi mohr barf ki zahir mein garm-joshi-e-dast-e-safir hai dhunde se aadmi nahin milta yahan pe 'zeb' yun is dayar-e-bahr mein gauhar kasir hai