bul-hawas mein bhi na tha wo but bhi harjai na tha

bul-hawas mein bhi na tha wo but bhi harjai na tha
phir bhi hum bahrupiyon ko khauf-e-ruswai na tha

aandhiyon ne sab mita dale nuqush-e-rah-guzar
ret ke sine pe dagh-e-abla-pai na tha

raat ke kale kunen mein chhup gaya saya mera
is se pahle to kabhi ye rang-e-tanhai na tha

wahm ka paikar tha aawezan dar-o-diwar par
khidkiyon mein chand mahw-e-jalwa-arai na tha

sabz pedon ke tane kat kat ke kyun girne lage
ai hawa main qatl-o-ghaarat ka tamannai na tha

raushni deti thi chamkile badan ki tazgi
warna main chehre ke khal-o-khad ka shaidai na tha

kya tar-o-taza tha aab-e-subh se nakhl-e-shafaq
bujhte suraj mein to ye andaz-e-ranai na tha

ek ek kirdar tha apni adakari mein gum
us tamasha-gah mein koi tamashai na tha

mar gaya 'siddiq' koh-e-gham se takkar mar kar
sar mein sauda tha magar zauq-e-jabin-sai na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close